Fropper.com - no one's a stranger
Already a member? Login here  | Tour | Help  
in


manoj thakur



Jan 28, '08



Chale bhi aao ki abhi raat baaki hai,
Mere dil mein kya hai yeh batana abhi baaki hai,
Kabhi kar do mere khwaab ko sach,
Ki abhi in khwaabon mein reh gayi kuch haqiqat baaki hai.

Raah dekhi thi is din ki kab se,
Aage ke sapne saja rakhe thay naa jane kab se,
Bade utawle thay yahaan se jaane ko,
Zindagi ka agla padaav paane ko,
Par naa jane kyon dil mein aaj kuch aur aata hai,
Waqt ko rokne ko jee chahta hai,
Jin baton ko lekar rote thay,
Aaj un par hansi aati hai,
Naa jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai.

Kaha karta tha badi mushkil se itne saal seh gaya,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya,
Kahin ankahi hazaaron batein reh gayi,
Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,
Meri taang ab kaun kheencha karega,
Sirf mera sir khane ko kaun mera peechha karega.

Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupaye ke liye kaun ladega,
Kaun raat bhar saath jag kar padega,
Kis ki gaadi main poochhe bina le jaunga,
Kaun mere naye naye naam banayega.

Main ab bina matlab kis se ladoonga,
Bina topic ke kis se faalto baat karoonga,
Kaun fail hone par dilasa dilayega,
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega.

Aise dost kahaan milenge,
Jo khai mein bhi dhakka de aayein,
Par phir tumhein bachane khud bhi kood jayein,
Mere gaano se pareshaan kaun hoga,
Kabhi mujhe kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga,
Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai,
Kaun peechhe se bula ke kahega aage dekh bhai.
Movies main kis ke saath dekhhonga,
Kis ke saath boring lectures jheloonga,
Mere asli certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega,
Bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega.



Tags: manoj









Recent posts


Recent Visitors

    None

ezBlog Archives


Search ezBlogs






ezBlog Updates