Posted on: May 20, '08

BARSE JAB BEMAUSAM BARISH
BARSE JAB BEMAUSAM BARISH
Bemausam aayi barsat ki fuhaar
faila gayi ek meethi si byaar
par kar gayi oos kisaan ke pet par waar
woh khada dekhta gaya..
luta diya ghar baar.
Lahlahti mehnat ko dekh muskaya tha
bhar garmi mein bhi pasina bahaya tha
aaj rondte dekh har patte ko
nihare kabhi suraj kabhi dhara ko
kyun toot gayi ek khilkhilaati asha
ek pal mein sikha gayi
oose bahate ashruon ki bhasha.
Wahin voh hurdang karte bacche
faadh rahe the naye naye parche
naav bana bahani thi oos aur
unki hansi mein boonde
machal kar kar rahi thi shor
Nahla kar pedon mein
chamkayi thi jisne nayi asha
woh kyun kabhi aansu kabhi hasi de
banata rahe hamara tamasha..
AMI..
Tags: its hindi-any problem then ask