Posted on: Sep 27, '08

Gazal
Dard kagaz pe utara to gazal ban gayii
usne zulfo.N ko sanwara to gazal ban gayii...
Bikhre bikhre se phirte rahe yu.N hi hum
husan ne ishq ko pukara to gazal ban gayii...
Log likhte rahe zindagi ke pal pal ka hisaab
naam likha jo tumhara to gazal ban gayii...
Aana aur jaana tera kisi gazal se kam nahi
tu mudkar na aaya dobara to gazal ban gayii...
Dunia ke rishto.N ne luta jee bhar hame yaro
jab gam-e-zindagi ne mara to gazal ban gayii...
Badi dil freb thi.N alam-e-dojahan ki rounke
waqt jab tanha guzara to gazal ban gayii...
Lafzo.N ki kashish me.N koi kami c thii jaise
zikar jab aaya tumhara to gazal ban gayii...
...dil se...
source: friends
Tags: dil se...