Posted on: Oct 02, '08

USS NE POOCHA KON HO TUM
USSNE POOCHA KON HO TUM
-----------------------
Usne poocha kon ho tum
maine uski parchaii ki aur ishara kar diya..
Usne poocha hamara rishta kya hai
maine janam-maran ka darshan samjha diya...
Usne poocha pyaar kitna gahra hai
maine saagar mei kuud kar dikha diya...
Usne poocha Isq ki unchaii kitni hai
maine parvat pe chad kar dikha diya....
Usne poocha kitna pyaar karte ho
maine aasmaan ke taaron ki aur ishaara kar diya...
Usne poocha mere liye kya kar sakte ho
maine angaro par chal kar dikha diya....
Usne poocha mere bina kaisa lagta hai
maine tanha chaand ki aur ishaara kar diya....
Usne poocha mei milne na aau to kaisa lagaga
maine dhadhkte hue suraj ki aur ishara kar diya...
Usne poocha tumahara irrada kya hai
maine uske DIL ki aur ishara kar diya...
Usne poocha kab tak chahoge mujhe
maine kyamat ka din bata dia.....
MAINE USS SE KEVAL ITNA POOCHA...
HAMARE PYAAR KA ANJAAM KYA HOGA....
USNE RAGISTAN MEI KADI DHOOP MEI KHADE
SUKHE HUE DARKHAT KI AUR ISHARA KAR DIYA..........!!!
Tags: ussne poocha kon ho tum