Posted on: Oct 11, '08

MAD 'AD'
Ek budha jo marta hi nahi
sab seva karte hai us ki
wo kisi ki seva karta hi nahi
Bahu jo roj us k pair dabati hai
dil me us ko galiya chabati hai
mann to us ka bahot kuchh karta
bhagwan se roj puchhti hai
'ye budha ku nahi marta'
magar budhe ko to chadha hai
jawani ka mausam....
jo kabhi sarta hi nahi !!1!!
Beta bhi us ka karta hai us ki malish
Jooto n ko kar k deta hai roj Polish
bete ki aur bahu ki bas ek hi khwaish
jsi k liye wo karte hai budhe ki seva
ki bass unhi ko mile sara mevaaaa
lekin budha to ekdum rocking....
yamraz se bhi bilkul darta hi nahi!!2!!
Me batata hun logo n aap ko aaj
budhe ki tuntun sehat ka raaz
gharwalon ki mannate na yamraz
kar sake budhe ka vinash...
ku ki
ku ki
ku ki
Budhe k paas hai Khtarood Chawanprash...
Bottom line: Khatrood Chawanprash khaiye aur Gharwalon ko thakaiye...
Tags: bass yaar tuze hasana tha