Posted on: Nov 19, '08

WOH BARSAAT KI EK SHAAM , DOSTI KEY NAAM
aur woh chali gayee
plain ney take off kiya aur kuch hi lamhon main woh door bohat door ho gayee,jaaney sey pehley mujh sey lipat ker bohat royee, mujhe nahin jana, i dunn wanna go, i wanna b wid u, aur main sunta raha dekhta raha magar naa kuch bol saka naa kuch ker saka majboor thaa n finally she left. ab uskey jaaney key baad ek ajeeb si tanhai hai, khamoshi hai, udasi hai DIL KI DUNIYA UDAAS SI KYON HAI
KYAA YAHAN SEY CHALA GAYA KOI
woh tabassum thi, meri ek close friend, ek maah qabal america sey wapas ayee thi chhuttiyaan guzarney, shokh, chanchal, hazir jawab, nazakat sey bherpoor, ghusswar,
KHUDA JAB HUSUN DETA HAI NAZAKAT AA HI JAATI HAI
MOHABBAT AA HI JAATI HAI SHARARAT AA HI JAATI HAI
sab usey tabbu kehtey they main usey tambu kehta thaa tap jaati thi aur jo kuch haath main aata utha ker meri taraf phenk maarti thi. ek baar cricket ball uskey key haath lag gayee usney merey sir ko nishana banaya main to baith gaya magar merey peechey uncle (uskey dad) kharey they ball unki naak per crash landing ker gayee
"sori abbuji sori abbuji" kehtey huye woh daur ker uncle sey lipat gayee, main ney chupkey sey kaan main keh diya agar aisa thaa to ball merey hi lag jaati
daant pees ker boli "tu ruk tujhey to main wahan le jaa ker maroongi jahan pani bhi naa miley"
main ney kaha tu soch ley tera naam yazidon main shumaar ho jayegaa aur uncle yeh baat pasand nahin karengey
boli koi baat nahin jo ho jaye tera qatal merey hi haathon ho gaa. main ney kaha in nazuk haathon ko kyon takleef dena sirf ek aankh daba lo main khud hi shaheed ho jaoonga yaar
meri taraf lapki main dorra jab pakker naa pai to aakhir thak haar ker boli tu mujhey itna kyon chherta hai main ney kaha tu ney suna nahin shakespear uncle ney kyaa kaha hai
chher main kuch to hai maza
werna koi sataye kyon 

woh barsaat ki ek shaam thi jab hum pehli baar miley. mujhey baarish main bheegna bohat pasand hai. din bher khoob jam ker baarish huee to main ney car office main chhor di aur pedal chal para gher.sarak sunsaan thi charon taraf paani bhara thaa achanak meri nigaah ek khubsurat si larki per parri jo kharamaan kharamaan chali aa rahi thi bheegti bhaagti. mujhey kishor uncle ka ek gana yaad aa gaya
ek larki bheegi bhaagi si
soti raaton main jaagi si
mili ej ajnabi sey koi aagey naa peechey
ab tum hi kaho yeh koi baat hai 
jab woh zara qareeb ayee to main ney kaha madam yeh aap kyaa ker rahi hain, woh boli kyon kyaa aap ko nazar nahin aata dono bulb fuse hain kyaa, main bola nahin janab fuse to aapki urregi jab kuch manchaley aapkey husun ki taareef main ghazal sunayengey aapko,ghaliban aap kahin baher sey tapki hain, "aap mujhey dara rahey hain suniye main derti nahin kisi sey aur aapki itla key liye arz hai keh main tapki nahin states sey tashreef layee hoon wahan main parhti hoon yahan meri family hai aur main apni chuttiyaan guzarney ayee hoon, ab chalain aap zara hawa aaney dain main enjoy ker rahin hoon plz. aap bore naa karain,yeh kehker woh aagey barh gayee aur main muskura ker reh gaya. kuch hi der main wahan ek car aaker ruki, kuch bandey nikley aur larki key peechey chalneylagey. phir ek shor buland huaa larki key chillaney ka aur larkon key hansney ka.main aagey barha aur larki sey mukhatib ho ker kaha "tumko main ney kaha thaa saath chalo magar" arrey akhtar bhai aap" main ney palat ker dekha to woh sikander thaa merey ek dost ka chhota bhai usney kuch kaha aur sab car main beth ker rafoochakker ho gaye."kaisey mijaz hain janab "main ney khatoon sey poochha, boli ab to sahi hain aur khilkhla ker hans parri,phir qareeb ayee aur haath barhatey huye boli" main tabassum, hum sey dosti kerogey" main ney kaha "main akhtar qubool hai qubool hai qubool hai", usney ek falak shagaf qehqaha lagaya aur is tarah hamari dosti ka aaghaaz huaa.
AAP JINKEY QAREEB HOTEY HAIN
WOH BARREY KHUSH NASEEB HOTEY HAIN
DOOSRI QIST (2ND PART) ON FRIDAY.
Tags: dost, dosti, baarish