Posted on: Dec 03, '08

A SPECIAL SUNDAY WID SOMEONE SPECIAL
beqarari mujhey ai dil kabhi aisi to naa thi
jaisi ab hai meri haalat kabhi aisi to naa thi 
sunday ka itni shiddat sey intezaar,shayad hi main ney kabhi kiya ho..beherhaal hasb-e-mamool namaz wagerah sey faarigh hoker main maidaan jaaney ke liye tayyaar huaa car start ki aur radio on kiya to yeh gana baj raha thaa...
aaja main hawaon main utha key ley chaloon tujhko
tu to meri dost hai
aaja main ghataon main utha key ley chaloon tujhko
tu to meri dost hai
main ney socha dost hai ya patang jisko hawaon aur ghataon main urraker ley jaya jaye.. yeh hamarey shayer hazraat kuch bhi likh maartey hain yaar.. ab hamarey salman bhai.. woh to kat ko hawaon aur ghataon to kyaa mount everest per bhi utha key ley jaa saktey hain MASHALLAH double body hai unki bagher shirt key ainey key saamney aa jayain to ainaa choor choor ho jaye magar main to tambu ko 1st floor per bhi utha ker nahin ley jaa sakta kafi heavy hai yaar crack ho jaoonga waisey to aajkal khwateen ko dieting aur slim trim rehney ka bara shauq hai pata nahin isey kyon nahin..yahi sab sochtey main maidan pohanch gaya jogging shuru ki, thori warzish ki, badminton key do-chaar game kheley amooman do ghantey main faarigh ho jata hoon magar sunday ko kuch naye puraney dost bhi aa jaatey hain un key saath gup shup main waqt ka pata hi nahin lagta.. beherhaal 9 baj gaye to main ney socha tambu key gher per dhawa bola jaye naashta bhi ho jayegaa aur tafreeh bhi
.. dus minute baad main uskey derwazey per khara thaa.....
bell dabatey hi derwaza khula.. bua khari thi.. main ney kaha "oye bua jee tussi to aaj vaddey haseen lag rahey ho kyaa baat hai jee baba jee aaney waley hain ya koi aur chakker hai" bua jee nai naveli dulhan ki tarah sharma gayi boli "aao beta ander aao " kahan hain sab.. main ney poochha.. dinning hall main ..naashta chal raha hai.. bhaee waah! yeh huee naa baat.. sahi waqt per ponhchaa.. "KHALAAAAAAAAAAAA" main ney awaaz lagai aur hall main dakhil huaa.. "chhhhhhhuuunnn" awaz huee dekha to tambu saheba jo chai undel rahi thin kettle sey kettle unkey haath sey chhoti aur seedhi floor per giri saath main kuch cups glass aur plates bhi.. "oye tu insaanon ki tarah entry nahin ley sakta"..haan ley sakta hoon kehker main hall sey wapas nikla aur dobara dakhil huaa.. "ab theek hai tambu" zunnnnnn sey koi cheez meri taraf ayee main jhuk gaya aur merey peechey showcase ka ek sheesha toot ker floor per bikher gaya.. khala aur khaloo ka zabardast qehqaha buland huaa ..AAo beta what a pleasent surprise.. surprise ?? magar khaloo aapney to hukum kiya thaa keh main aaj naashta aap sab key saath karoon .. tambu ney mujhey phone per bataya thaa.. isiliye main hazir huaa hoon.. oye jhootey makkar main ney kab kaha thaa.. dekhiye khaloo kuch bertan kyaa toot gaye yeh to ... o koi baat nahi beta tabbu bhool gayee hogi ..khala bolin.. aao tum naashta kero nahari hai suna hai tumko nahari bohat pasand hai.. jee khala aapney sahi suna hai magar main nahari lunch main leta hoon ya dinner main subah to main bohat halka naashta kerta hoon .. 10-12 breads, 2 boiled eggs, 2 fried eggs, one apple, butter, cheese, jam, aur ek glass milk.. " yeh agar halka hai to rab jaaney bhaari kyaa hota hoga isiliye to chhezain mehengi hoti jaa rahi hain".. tabbu.. khala ney daant lagai aisa nahin kehtey jao naashta ready kero mera bacha bhooka hai .. khala main zara naha ker fresh ho jaoon jogging ker key aaya hoon to... haan beta kyon nahin tabbu jao nahaney ka samaan ready kero .. tabbu hai ya koi jinn naashta ready kero yeh kero woh kero.. woh zerlab barbarai phir mujhey dekh ker boli "tujhey to main dekh loongi khala ka chamcha". . qareeb sey dekhna buaa jee ki qasam zeest ka maza aa jayegaa.. naa jaaney kiski shakal dekhi thi .. aina dekha hoga na ..woh dauri merey peechey main khala key paas jaa ker beth gaya .. kyaa huaa beta .. kuch nahin khala zabardast bhook lagi hai .. tabbu jaldi kero beta .. amma ker to rahi hoon do hi to haath hain .. khala isey kuch aata bhi hai ya yoonhi utha patak ker rahi hai kitchen main .. buaa jee ko buladoon .. oye bua jee key sagey aa jaa tera naashta ready hai thoons ley kum ho to bol dey.. shuker hai aaj ki tareekh main hi hogaya oye tu to hai naa phir fiker ki kyaa baat zaroorat huee to bol doonga.. oye tambu .. kyaa hai.. arrey salt n pepper to hai hi nahin.. arrey terey dono bulb fused ho gaye kyaa saamney rakhey hain.. oye tambu .. ab kyaa hai .. suger to dey .. milk main daal diya hai chupsey gatak ley.. naashtey sey faarigh huaa to neend aaney lagi .. khala main zara aaraam kerloon .. haan beta kerlo tabbu.... khala rehney dain main yahin let jaoonga aapkey paas .. khala ney sir per haath pherna shuru kiya to mujhey apni ammi yaad aaney lagin .. main unki god main sir rakhker so jaata thaa duniya sey be khabar her fiker sey azaad her gham-o-pareshaani sey dooor....
Tags: a sunday wid her family