by coolera
Unse mil kar mulaaqaat hoti nahin...
Haay saawan mein barsaat hoti nahin..
Kyun bigadte ho bekaar har baat par..
Mun ki chaahi sadaa baat hoti nahin...
Aankh uthhti to hai..aankh milti nahin..
Honthh khulte to hain..baat hoti nahin..
Chahta hai bahut hi adhik dil jinhein..
Unse aksar mulaaqat hoti nahin....
Daav dil ka laga do yahi soch kar...
Pyaar ke khel mein maat hoti nahin..
Bus rahne do kya baat karte ho tum..
Kuchh to hai baat jo baat hoti nahin...