by Chat3523
Mujh se mera kya rishta hai har ik rishta bhul gaya.
Itane aaine dekhe hai apna chehra bhul gaya.
Ab to ye bhi yaad nahi hai farq tha kitana dono me.
Us ki baate yad rahi aur us ka lahaja bhul gaya.
Pyasi dharti ke hontho par mera naam nahi to kya.
Main wo badal ka tukada hu jis ko dariya bhul gaya.
Duniya wale kuch bhi kahe apni majburi hai.
Us ki gali jab yaad aayi hai ghar ka rastaa bhul gaya.