by coolbaby644
Dil apne aap dhadakta hai, dhadkaya nhi jaata,
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nhi jaata,
Agar ehsaas ho to, mohabbat ko kar lo mehsoos,
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jaata,
Dosti ke liye mohabbat or khushi hai lazim,
Har haath milane wale ko dost samjha nhi jaata,
Bahut kam hai log jo dil mein utar jaate hai,
Har rah chalte ko apna banaya nhi jaata,
Koshish se badal jaati hai TaQdeerein,
Dekar ilzaam kismat ko or dil ko behlaya nhi jaata